Monday, July 27, 2009

Back to my roots

Aaj socha ki phir kud se guftagu kar loon

Phir usi barq bayaani ki justuju kar loon

Kuch toa hai ki huye hai parwaaz mutasir

Yeh baat kyon na aaj mein rubaru kar loon

Kis kadar huyee hai kotahi-e-inqilaab

Acha ki mein qalam ko phir do badoon kar loon

Ayyam ne yaan phir se hai aayeena dikhaya

Acha hai ki Talib ko phir joon ka toon kar loon

Gone with the wind?
















Poocha hai dost khat mein tum ne mujh se mera haal
Sanjho ki jehannum mein hai baraf ka basar


Waan Shaam ki aatishi ranaeyaan pur kaif
Yaan be rang o boo nazar ko lagey hai har sehar


Yaan sabzah zaar bhi lage kantoon ki chatayee
Waan dhool ko behtar kahoon makhmal ka bistar


Waan baarish ki boondh badan ko kamal ka bosah
Yaan shabnum ka oas bhi mere badan ko hai sharar
Talib