Lab kushayee karo ge toa saza takht-e-daar
Apni har ik sada ki hai ‘dawa’ takht-e-daar
Khamshi takhreeb hai, taqreer bhi takhreeb
Qalam kushayee ki bhi hai saza takht-e-daar
Hai hum ne kaha dard ko ek cheekh bhi lazim
Usne isharey se phir kaha - takht-e-daar!
Hai haath azmayee ko yaan maktal hi jawab
Aur phir hai khamshi ko jaza takht-e-daar
Hai unn ko mukhtari pasand har kaam par apne
Humne jab bhi poocha ‘kyon?’ toa kaha takht-e-daar
Ahwaal kuch badle nehi, sadyaan guzar gayee
Kashmeeriyoon ki qaza ki ada takht-e-daar
Lazim hai ab qoam ko ik naya walwalah
Aur Talib phir likhen ge ‘fana takht-e-daar’