Aaj socha ki phir kud se guftagu kar loon
Phir usi barq bayaani ki justuju kar loon
Kuch toa hai ki huye hai parwaaz mutasir
Yeh baat kyon na aaj mein rubaru kar loon
Kis kadar huyee hai kotahi-e-inqilaab
Acha ki mein qalam ko phir do badoon kar loon
Ayyam ne yaan phir se hai aayeena dikhaya
Acha hai ki Talib ko phir joon ka toon kar loon
No comments:
Post a Comment